Search blog.co.uk

Aaj DiL

by maluhg @ 2007-07-03 - 00:06:18

Aaj dil yeh udaas hai
Dil mein ek khwaish hai
Paas mere aao
Apne kareeb mujhay lao
Baas yahi meri khwaish hai

GG


 
 

SocHa ThA

by maluhg @ 2007-04-15 - 00:58:11

Socha tha dil ke badlay jaan tumhain dainge
Aray socha kya..
Humne to jaan he tumhain dee
Pyar kiya tujhe aur socha abhi to
Ishq hai mere nasseb mein
Par tunay to dokha deh kar
Tukhra dala meri mohabbat ko

GG

VaaDa

by maluhg @ 2007-04-15 - 00:54:30

Kabhi to milay gee mujhse vaada karnay wali
Aur mein poochon ga us sayh
Ke pyar ka vaada to tune kardiya eh behrahem
Lekin pyar se kabhi bolaya to hota

GG

SamajH

by maluhg @ 2007-03-24 - 02:50:38

Pehlay he tum samajh jaati is baat ko
To shayad itni takleef na hoti tujhe
Pyar ka to ek bahana tha mujhse
Matlab koi aur tha aisa kyon lagta hai mujhe

GG

SuccH

by maluhg @ 2007-03-24 - 02:48:18

Jab dil kiya hamaray hawalay
To dil se bhi to pooch liya hota 

Itni asani se keh diya
Keh pyar hai tumhain mujhse 
Kabhi apne aap se bhi succh bol liya hota

GG

NazDeeKH

by maluhg @ 2006-12-28 - 16:48:24

Tere nazdeekh aane se darr lagta hai
Jo tere liye mere dil mein pyar tha
Woh kahin wapaas na ajaye
Is baat se mujhe darr lagta hai

GG

MeRe LiYe

by maluhg @ 2006-12-28 - 16:39:27

Mere liye tum itna intezaar na karna
Jo agaya mein wapaas izhaar na karna

Tere liye kabhi thi mere dil me jagay
Ab to teri yaad bhi aati hai to mushkil se

GG

FaRiYaaD

by maluhg @ 2006-12-28 - 16:35:28

Fariyaad tumhari mein kya suntah
Jo mein tha nashay mein dhoom
Dard tujhay denah meri majboori thi
Aur rozh peena sharaab meri zaroorat

GG

NaZaroN ka JaaM

by maluhg @ 2006-12-01 - 20:21:04

Jab teri nazaron ka jaam piya
Apna dil tere havalay kiya
Teri khoobsurati ki sadqay
Maine apna ghar bhar chor diya

Ab deh kar ek jhalak
Itni doorh kyon ho
Zarah mere paas to ao
Zarah si bhool kyon na ho

GG

TumHare SeeLai LuBBon

by maluhg @ 2006-12-01 - 20:14:38

Tumhare seelai lubbon pe hai naam hamara
Hum ne aankhen bundh karlee lekar naam tumhara
Pardah hata bhi diya
Aur tera husn haazir hua
Kasam hai mujhe tere husn ki hasina
Teri zulfon ki chamak ne banaya deewana

GG


 
 
:: Next Page >>

Footer

The content of this website belongs to a private person, blog.co.uk is not responsible for the content of this website.