Search blog.co.uk

Posts archive for: October, 2006
  • MeiN Is KaBil NaHi

    Yaadon ko meri yoon tum abaad na rakho
    Mein is kabil nahi...
    Har subah har raat mere sapnay na dekho
    Mein is kabil nahi...
    Apni harr saans ko sambhal ke rakho
    Apne labbon ko mere liye bacha ki rakho
    Tumhari baatein, tumhara mujhe dekhna
    Humko pehlay si he marh chokha hai
    Jo bacha hai mera woh sab tumhara hai
    Haan..Kaash yeah waqt rukh jaye aur koi na ho humdono ki sivaa
    Lekin..Pehlay mujhe tumharay pyar ki kabil ban jaanay do..

    GG

  • PHiR..

    Yoon hamain chorh ke jana tumhara
    Agar pyar tumhara mere liya hua tha kam
    To yeh bata kar jaate janaab
    Phir...
    Na main dhoobata sharaab mein
    Aur na hee main dhoondta Shabaab

    GG

  • PaaS Aao

    Paas aao tumhain hum pyar dehn
    Yeh jo hamaray dil hain
    Inh do dilon ko hum jhorh lehn
    Lekin kareeb akar humsay doorh na janaa
    Yoon banaa ke apna yoon chorh na janaa

    GG

  • MuQaddaR

    Yeh tarpana aur tarpanah to muqaddar mein likha hai
    Is likhay ko badalna hamaray bas ki baat nahin
    Jab thak hum saath hain
    Tab thak hamari baat hai
    Yeh chan lamhay hum hass ke guzar lehn

    GG

  • NaRaAZ

    Keh rahi ho mujhse tum
    Ke hum milenge aagay jaa kar
    Kyon khel rahi ho mere jazbaat se
    Is dunya mein hee hum miljayen
    Is baat se tumhain kya aitraaz hai
    Yeh kya kar rahi ho
    Kis baat se aap humse naraaz hai

    GG

  • KHeL

    Kaun kambakt tumharay saath khel raha hai
    Hum bhi jeena chahtain hain is dunya mein
    Gar tumhain tumhara dil wapaas kardiya
    To tum to jee lo gee
    Magar hum na phir hongay is dunya mein

    GG

  • KaaFir NazAR

    Kaafir nazar seh aise hamain dekha na karo
    Yoon isharohn mein humse khela na karo
    Tere labbon ki masti hai dil pe chai
    Tumharey khushboo hai ab dil mein samai
    Aray bewaffa kabhi to kuch khayal kiya karo
    Ek hee to tumhara deewana hai
    Usay yoon sataya na karo

    GG

  • TeRe BiNa

    Tere bina jeelengay hum
    Zehr yeh zindagi ka peelengay hum
    Kabhi na socha tha
    Keh tum chali jaogi
    Chorah kar mera dil
    Phir lotah kar chali jaogi

    Chorh kar chali gaye
    Tumnay yeh bhi na socha
    Kaise kathangay mere din
    KambakT yeh bhi na socha

    Bina tere yeh Zindagi hai adoori
    Har din har waqt mujhay satayeh yeh doori
    Raat ko mujhay jagayeh rakhay teri yaad
    Kabhi aa kar to dekh
    Kya haal hai mera
    ...Tere jaanay keh baad...

    GG

  • Bholah DiYa

    Bholah diya tunay pyar mera
    Mere pyar ka matlab tumnay na samjha
    Hum to tum par martay rahay
    Phir bhi tumnay pyar ko na samjha

    Karta tha pyar tujhay
    Ab bhi hai mujhay pyar tumsay
    Jab thak dil mein hai dhadkan
    Karoon ga pyar tujhay
    Yeh awaaz aati hai dilse

    Kabhi toh tumhain meri yaad ayegi
    Os yaad ko tu nah bhool payegi
    Os waqt mujhay kahin na paogi
    Is gham mein Janeman
    Tum kunwari reh Jaogi

    GG

  • NasHa

    Teri aankhon ka nasha
    Mera woh haal kargaya
    Jo na hona tha wohi kaam hogaya
    Maine yeh dil tere naam kardiya

    Nasha yeh aankhon ka
    Sharaab ban gaya
    Madhoshi kisay kehte hain
    Mujhay mahsoos hogaya

    Tohfa mohabbat ka mujhay mil gaya
    Tumhain paa liya
    Yeh jahaan mil gaya

    GG

Footer:

The content of this website belongs to a private person, blog.co.uk is not responsible for the content of this website.